Agriculture Worker 100 Recruitment: Krishi Godam Karyakarta Ke Padon Par Bharti Ke Liye Notification Jari



Krishi Godam Karyakarta ke padon par bharti ke liye notification Skill India ki adhikarik website ke madhyam se jari kiya gaya hai. Iss notification ke mutabiq, Krishi Godam Karyakarta ke 100 padon ko bhara jayega. Chune gaye candidates ko ₹5000 se ₹14300 tak ka vetan diya jayega.

Iske alawa, bharti ke baare mein aur adhik jankari step-by-step niche di gayi hai. Is jankari ko check karne ke baad abhyarthi online aavedan kar sakte hain.

Krishi Godam Karyakarta Padon Par Vacancy Ke Liye Mahatvapurn Tithiyan:

Agriculture Warehouse Worker padon par bharti ke liye online aavedan ki prakriya shuru ho chuki hai. Aavedan karne ki antim tithi 8 October 2024 hai. Yogy ummedwar is seema ko dhyan mein rakhte hue apna online aavedan pura kar len, kyunki iske baad aavedan sweekar nahi kiye jayenge.

Krishi Karyakarta Vacancy Ke Liye Aayu Seema:

Agriculture Warehouse Worker padon par bharti ke liye applicant ki minimum aayu 18 saal aur maximum aayu 35 saal rakhi gayi hai. Aayu ki ginti aavedan form bharne ki tithi ke aadhar par ki jayegi. Aayu seema ka praman dene ke liye avashyak documents bhi aavedan ke sath lagayein.

Krishi Godam Karyakarta Vacancy Ke Liye Shikshanik Yogya:

Agriculture Warehouse Worker vacancy ke liye minimum shiksha yogya 5vi pass rakhi gayi hai. Koi bhi maanaya prapt board ya sansthan se 5vi pass abhyarthi iske liye online aavedan kar sakte hain. Selection bina kisi exam ke, sirf document verification aur skill test ke aadhar par kiya jayega.

Krishi Godam Karyakarta Vacancy Ka Aavedan Kaise Karein?

Agriculture Warehouse Worker padon par bharti ka aavedan form bharne ke liye nimn steps ko follow karein:

  1. Sabse pehle adhikarik website par jayein.
  2. Wahaan par bharti se judi puri jankari di gayi hai, usse dhyan se padhein.
  3. Uske baad "Apply Online" par click karein.
  4. Mangayi gayi jankari aur documents upload karein.
  5. Aavedan ko poori tarah se bharne ke baad submit karein.
  6. Aavedan form ka ek printout nikal kar rakhein taaki future mein zarurat pade toh use kar sakein.

Agriculture Worker 100 Recruitment Important Links

Official Notification:-Click Here

Apply Online:-Click Here

Team Vacancy Mitra:-Click Here